hue jo sath nazaron ne rashk karna hai
hue jo saath nazāroñ ne rashk karnā hai
hamāre baḳht pe yāroñ ne rashk karnā hai
tumhārā haath agar haath meñ rahā yūñhī
ḳhizāñ-rutoñ pe bahāroñ ne rashk karnā hai
ham is ke zarroñ meñ chāhat kā nuur bhar deñge
hamāre thal pe sitāroñ ne rashk karnā hai
lagegā phuul ko rakkhā huā hai kāñdhoñ par
uThā ke Dolī kahāroñ ne rashk karnā hai
hamāre sher mohabbat kā isti.āra haiñ
so ek do nahīñ sāroñ ne rashk karnā hai
bahā ke laane haiñ dariyā ne kitne phuul magar
kisī kisī pe kināroñ ne rashk karnā hai
maiñ jang haar ke jītūñgā is tarah 'ḳhālid'
sabhī piyādoñ savāroñ ne rashk karnā hai
hue jo sath nazaron ne rashk karna hai
hamare baKHt pe yaron ne rashk karna hai
tumhaara hath agar hath mein raha yunhi
KHizan-ruton pe bahaaron ne rashk karna hai
hum is ke zarron mein chahat ka nur bhar denge
hamare thal pe sitaron ne rashk karna hai
lagega phul ko rakkha hua hai kandhon par
uTha ke Doli kahaaron ne rashk karna hai
hamare sher mohabbat ka istiara hain
so ek do nahin saron ne rashk karna hai
baha ke lane hain dariya ne kitne phul magar
kisi kisi pe kinaron ne rashk karna hai
main jang haar ke jitunga is tarah 'KHalid'
sabhi piyaadon sawaron ne rashk karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.