hue kab mutmain hum zindagi se
hue kab mutma.in ham zindagī se
mohabbat phir bhī kar baiThe kisī se
samajh lo ho chukā hai ishq kāmil
badan jalne lage jab chāñdnī se
na jaane muntazir haiñ kis kī āñkheñ
nazar haTtī nahīñ apnī ghaḌī se
kahānī maiñ ne jab apnī sunā.ī
lipaT kar ro paḌe bhañvre kalī se
mohabbat meñ zarūrī hai ye 'sonam'
kabhī mat kījiye shikva kisī se
hue kab mutmain hum zindagi se
mohabbat phir bhi kar baiThe kisi se
samajh lo ho chuka hai ishq kaamil
badan jalne lage jab chandni se
na jaane muntazir hain kis ki aankhen
nazar haTti nahin apni ghaDi se
kahani main ne jab apni sunai
lipaT kar ro paDe bhanwre kali se
mohabbat mein zaruri hai ye 'sonam'
kabhi mat kijiye shikwa kisi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.