hue kyun us pe aashiq hum abhi se
hue kyuuñ us pe āshiq ham abhī se
lagāyā jī ko nāhaq ġham abhī se
dilā rabt us se rakhnā kam abhī se
jatā dete haiñ tujh ko ham abhī se
tire bīmār-e-ġham ke haiñ jo ġham-ḳhvār
barastā un pe hai mātam abhī se
ġhazab aayā hileñ gar us kī mizhgāñ
saf-e-ushshāq hai barham abhī se
agarche der hai jaane meñ tere
nahīñ par apne dam meñ dam abhī se
bhigo rahvegā girya jaib o dāman
rahe hai āstīñ pur-nam abhī se
tumhārā mujh ko pās-e-ābrū thā
vagarna ashk jaate tham abhī se
lage siisa pilāne mujh ko aañsū
ki ho buniyād-e-ġham mohkam abhī se
kahā jaane ko kis ne meñh khule par
ki chhāyā dil pe abr-e-ġham abhī se
nikalte hī dam uThvāte haiñ mujh ko
hue be-zār yuuñ hamdam abhī se
abhī dil par jarāhat sau na do sau
dharā hai dosto marham abhī se
kiyā hai vāda-e-dīdār kis ne
ki hai mushtāq ik aalam abhī se
marā jaanā mujhe ġhairoñ ne ai 'zauq'
ki phirte haiñ ḳhush-o-ḳhurram abhī se
hue kyun us pe aashiq hum abhi se
lagaya ji ko nahaq gham abhi se
dila rabt us se rakhna kam abhi se
jata dete hain tujh ko hum abhi se
tere bimar-e-gham ke hain jo gham-KHwar
barasta un pe hai matam abhi se
ghazab aaya hilen gar us ki mizhgan
saf-e-ushshaq hai barham abhi se
agarche der hai jaane mein tere
nahin par apne dam mein dam abhi se
bhigo rahwega girya jaib o daman
rahe hai aastin pur-nam abhi se
tumhaara mujh ko pas-e-abru tha
wagarna ashk jate tham abhi se
lage sisa pilane mujh ko aansu
ki ho buniyaad-e-gham mohkam abhi se
kaha jaane ko kis ne meinh khule par
ki chhaya dil pe abr-e-gham abhi se
nikalte hi dam uThwate hain mujh ko
hue be-zar yun hamdam abhi se
abhi dil par jarahat sau na do sau
dhara hai dosto marham abhi se
kiya hai wada-e-didar kis ne
ki hai mushtaq ek aalam abhi se
mara jaana mujhe ghairon ne ai 'zauq'
ki phirte hain KHush-o-KHurram abhi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.