hui aabaad virani hamari
huī ābād vīrānī hamārī
koī samjhe pareshānī hamārī
azal ko vaqt hī kitnā huā hai
chalī jā.egī hairānī hamārī
use ham se gurezāñ hī na kar de
ye is darja farāvānī hamārī
tumhārī ḳhush-libāsī ke muqābil
jo aa.e chāk-dāmānī hamārī
ġhazal ko jiine vaale jānte haiñ
bahut mushkil hai āsānī hamārī
hui aabaad virani hamari
koi samjhe pareshani hamari
azal ko waqt hi kitna hua hai
chali jaegi hairani hamari
use hum se gurezan hi na kar de
ye is darja farawani hamari
tumhaari KHush-libasi ke muqabil
jo aae chaak-damani hamari
ghazal ko jine wale jaante hain
bahut mushkil hai aasani hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.