hui aaghaz phulon ki kahani
huī āġhāz phūloñ kī kahānī
vo pahlā dil vo pahlī ḳhush-gumānī
udāsī kī mahak aatī hai mujh se
mirī tanhā.ī hai itnī purānī
hameñ donoñ kināre dekhne meñ
tavajjoh chāhtī hai ye ravānī
ye bārish aur ye pāmāl sabza
numū paatī huī ik rā.egānī
mohabbat ho ga.ī ik roz 'ādil'
hamārā mashġhala thā bāġhbānī
hui aaghaz phulon ki kahani
wo pahla dil wo pahli KHush-gumani
udasi ki mahak aati hai mujh se
meri tanhai hai itni purani
hamein donon kinare dekhne mein
tawajjoh chahti hai ye rawani
ye barish aur ye pamal sabza
numu pati hui ek raegani
mohabbat ho gai ek roz 'adil'
hamara mashghala tha baghbani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.