hui aankh nam dil taDap kar pukara
huī aañkh nam dil taḌap kar pukārā
na ham haiñ kisī ke na koī hamārā
kiyā 'ishq jis se rahā nā-mukammal
vazā.if kiye haiñ kiyā istiḳhāra
kiye haiñ bahut vird chille bhī kaaTe
magar 'ishq sar se na utrā tumhārā
mazāroñ pe jā kar du'ā.eñ bhī māñgīñ
vo ik shaḳhs phir bhī huā kab hamārā
hameñ Dūbne se na koī bachā.e
kināroñ se ham kar chuke haiñ kināra
chalo 'shāhdil' ban meñ kuTiyā banā leñ
chaman meñ na hogā ab apnā guzārā
hui aankh nam dil taDap kar pukara
na hum hain kisi ke na koi hamara
kiya 'ishq jis se raha na-mukammal
wazaif kiye hain kiya istiKHara
kiye hain bahut wird chille bhi kaTe
magar 'ishq sar se na utra tumhaara
mazaron pe ja kar du'aen bhi mangin
wo ek shaKHs phir bhi hua kab hamara
hamein Dubne se na koi bachae
kinaron se hum kar chuke hain kinara
chalo 'shahdil' ban mein kuTiya bana len
chaman mein na hoga ab apna guzara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.