hui dastak koi aaya nahin koi nahin hai
huī dastak koī aayā nahīñ koī nahīñ hai
hameñ ab pūchhne vaalā kahīñ koī nahīñ hai
bahut ābād haiñ ye be-dar-o-dīvār se ghar
mahal aise bhī haiñ jin meñ kamīñ koī nahīñ hai
jhijakte haiñ ishāroñ se bhī dil kī baat karte
ki shīsha-ghar meñ rāzoñ kā amiiñ koī nahīñ hai
ab ik andhe kuñ.eñ meñ girte jaanā zindagī hai
ab apne paañv ke nīche zamīñ koī nahīñ hai
zarā sun to ki ab mazlūm nā-ummīd ho kar
ye kahte haiñ sar-e-arsh-e-barīñ koī nahīñ hai
hui dastak koi aaya nahin koi nahin hai
hamein ab puchhne wala kahin koi nahin hai
bahut aabaad hain ye be-dar-o-diwar se ghar
mahal aise bhi hain jin mein kamin koi nahin hai
jhijakte hain ishaaron se bhi dil ki baat karte
ki shisha-ghar mein raazon ka amin koi nahin hai
ab ek andhe kunen mein girte jaana zindagi hai
ab apne panw ke niche zamin koi nahin hai
zara sun to ki ab mazlum na-ummid ho kar
ye kahte hain sar-e-arsh-e-barin koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.