Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hui hai did na koi nawed aai hai

Ayaz Bilgrami

hui hai did na koi nawed aai hai

Ayaz Bilgrami

MORE BYAyaz Bilgrami

    huī hai diid na koī naved aa.ī hai

    ajiib rang meñ kuchh ab ke eid aa.ī hai

    jidhar jidhar bhī tirī muztarib nigāh uThī

    idhar udhar se dil-o-jāñ ḳharīd aa.ī hai

    sañbhal sañbhal ke chale jab bhī un ke kūche meñ

    to jān-o-dil pe tabāhī mazīd aa.ī hai

    kisī ne pūchh liyā hai jo dil haal kabhī

    to jaise kūcha-e-armāñ meñ eid aa.ī hai

    'ayāz' kūcha-e-qātil se aaj dil havas

    ḳhushī ke naam pe kuchh ġham ḳharīd aa.ī hai

    hui hai did na koi nawed aai hai

    ajib rang mein kuchh ab ke eid aai hai

    jidhar jidhar bhi teri muztarib nigah uThi

    idhar udhar se dil-o-jaan KHarid aai hai

    sanbhal sanbhal ke chale jab bhi un ke kuche mein

    to jaan-o-dil pe tabahi mazid aai hai

    kisi ne puchh liya hai jo dil ka haal kabhi

    to jaise kucha-e-arman mein eid aai hai

    'ayaz' kucha-e-qatil se aaj dil ki hawas

    KHushi ke nam pe kuchh gham KHarid aai hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now