hui hai mehrban unki nazar aahista aahista
huī hai mehrbāñ un kī nazar āhista āhista
huā tai ye mohabbat kā safar āhista āhista
huā rañgīn mausam kā asar āhista āhista
machalte haiñ mire qalb-o-nazar āhista āhista
idhar mere dil-e-betāb kī baḌhtī hai betābī
udhar kaalī ghaTāoñ kā asar āhista āhista
bahut mohtāt ho kar bhī guzar jā.eñge ham lekin
utar jā.egī dil meñ vo nazar āhista āhista
'karan' ik roz mere dil ko dīvāna banā degā
kisī kī mast āñkhoñ kā asar āhista āhista
hui hai mehrban un ki nazar aahista aahista
hua tai ye mohabbat ka safar aahista aahista
hua rangin mausam ka asar aahista aahista
machalte hain mere qalb-o-nazar aahista aahista
idhar mere dil-e-betab ki baDhti hai betabi
udhar kali ghaTaon ka asar aahista aahista
bahut mohtat ho kar bhi guzar jaenge hum lekin
utar jaegi dil mein wo nazar aahista aahista
'karan' ek roz mere dil ko diwana bana dega
kisi ki mast aankhon ka asar aahista aahista
- Book : Shehr-e-Sukhan (Pg. 38)
- Author : Karan Singh Karan
- Publication : Manvi Parkashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.