hui hai saya-fagan sabr ki qaba mujh par
huī hai sāya-fagan sabr kī qabā mujh par
chalā.e tiir kaho aa ke hur milā mujh par
khiñchā huā hai mire gird māmtā kā hisār
asar kahāñ se kare koī bad-duā mujh par
miTā sakī na mire paañv kī lakīreñ tak
hazār ret uḌātī rahī havā mujh par
mire vajūd se aage na thī koī manzil
udāsiyoñ kā safar ḳhatm ho gayā mujh par
usī ko saare zamāne ne mil ke baañT liyā
jo rah gayā thā guzarne se sānehā mujh par
mire badan pe riyā kā nahīñ koī dhabbā
bhalī kahāñ se lagegī tirī qabā mujh par
qubūl hotīñ agar pastiyāñ mujhe 'kāzim'
ye āsmān-e-masā.il na TūTtā mujh par
hui hai saya-fagan sabr ki qaba mujh par
chalae tir kaho aa ke hur mila mujh par
khincha hua hai mere gird mamta ka hisar
asar kahan se kare koi bad-dua mujh par
miTa saki na mere panw ki lakiren tak
hazar ret uDati rahi hawa mujh par
mere wajud se aage na thi koi manzil
udasiyon ka safar KHatm ho gaya mujh par
usi ko sare zamane ne mil ke banT liya
jo rah gaya tha guzarne se saneha mujh par
mere badan pe riya ka nahin koi dhabba
bhali kahan se lagegi teri qaba mujh par
qubul hotin agar pastiyan mujhe 'kazim'
ye aasman-e-masail na TuTta mujh par
- Book : کتاب سنگ (Pg. 44)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.