hui hai zindagani dasht-e-ghurbat mein basar meri
huī hai zindagānī dasht-e-ġhurbat meñ basar merī
vatan meñ jab na pahuñchā maiñ to kyā pahuñche ḳhabar merī
taḌaptā huuñ to ho jaatī hai zālim ko ḳhabar merī
banī jaatī hai ḳhud āh-e-rasā paiġhāmbar merī
batā.e detī hai kaifiyyat-e-dard-e-jigar un ko
sitam hai mil ga.ī un kī nigāhoñ se nazar merī
tire insāf ke sadqe tirī taqsīm ke qurbāñ
shab-e-ishrat kī shaam un kī shab-e-ġham kī sahar merī
vatan meñ us se āñkheñ pher luuñ ye ho nahīñ saktā
rahī hai be-kasī ġhurbat meñ barsoñ ham-safar merī
javāb-e-nāma to laayā magar hairat hai de kis ko
ki sūrat hī nahīñ pahchāntā hai nāma-bar merī
chhupā.ūñ laakh lekin pyaar kī sūrat nahīñ chhuptī
jo haiñ ahl-e-nazar pahchān lete haiñ nazar merī
na vo aa.e na maut aa.ī na jiitā huuñ na martā huuñ
ye aalam hai mujhe bhī ab nahīñ 'safdar' ḳhabar merī
hui hai zindagani dasht-e-ghurbat mein basar meri
watan mein jab na pahuncha main to kya pahunche KHabar meri
taDapta hun to ho jati hai zalim ko KHabar meri
bani jati hai KHud aah-e-rasa paighambar meri
batae deti hai kaifiyyat-e-dard-e-jigar un ko
sitam hai mil gai un ki nigahon se nazar meri
tere insaf ke sadqe teri taqsim ke qurban
shab-e-ishrat ki sham un ki shab-e-gham ki sahar meri
watan mein us se aankhen pher lun ye ho nahin sakta
rahi hai be-kasi ghurbat mein barson ham-safar meri
jawab-e-nama to laya magar hairat hai de kis ko
ki surat hi nahin pahchanta hai nama-bar meri
chhupaun lakh lekin pyar ki surat nahin chhupti
jo hain ahl-e-nazar pahchan lete hain nazar meri
na wo aae na maut aai na jita hun na marta hun
ye aalam hai mujhe bhi ab nahin 'safdar' KHabar meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.