hui humse ye nadani teri mahfil mein aa baiThe
huī ham se ye nādānī tirī mahfil meñ aa baiThe
zamīñ kī ḳhaak ho kar āsmāñ se dil lagā baiThe
huā ḳhūn-e-tamannā us kā shikva kyā kareñ tum se
na kuchh sochā na kuchh samjhā jigar par tiir khā baiThe
ḳhabar kī thī gulistān-e-mohabbat meñ bhī ḳhatre haiñ
jahāñ girtī hai bijlī ham usī Daalī pe jā baiThe
na kyuuñ anjām-e-ulfat dekh kar aañsū nikal aa.eñ
jahāñ ko lūTne vaale ḳhud apnā ghar luTā baiThe
hui hum se ye nadani teri mahfil mein aa baiThe
zamin ki KHak ho kar aasman se dil laga baiThe
hua KHun-e-tamanna us ka shikwa kya karen tum se
na kuchh socha na kuchh samjha jigar par tir kha baiThe
KHabar ki thi gulistan-e-mohabbat mein bhi KHatre hain
jahan girti hai bijli hum usi Dali pe ja baiThe
na kyun anjam-e-ulfat dekh kar aansu nikal aaen
jahan ko luTne wale KHud apna ghar luTa baiThe
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 792)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.