hui har aankh Khaali aansuon se
huī har aañkh ḳhālī āñsuoñ se
hue mānūs aise hādsoñ se
mujhe tauhīd raas aane lagī hai
nahīñ ab rābta koī butoñ se
qafas meñ zindagī mahsūs karnā
koī sīkhe zarā in tā.eroñ se
jinheñ manzil ne dhutkārā thā pahle
vo ab kī baar lauTe rāstoñ se
koī nashsha nahīñ in pāniyoñ meñ
khulā ye raaz āḳhir mai-kashoñ se
ḳhushī se sah rahe haiñ terī ḳhātir
vagarna jaan jaatī thī ġhamoñ se
kahānī-kār kī marzī hai 'tasnīm'
parinda jā.egā kab tak paroñ se
hui har aankh KHali aansuon se
hue manus aise hadson se
mujhe tauhid ras aane lagi hai
nahin ab rabta koi buton se
qafas mein zindagi mahsus karna
koi sikhe zara in taeron se
jinhen manzil ne dhutkara tha pahle
wo ab ki bar lauTe raston se
koi nashsha nahin in paniyon mein
khula ye raaz aaKHir mai-kashon se
KHushi se sah rahe hain teri KHatir
wagarna jaan jati thi ghamon se
kahani-kar ki marzi hai 'tasnim'
parinda jaega kab tak paron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.