hui jab shama raushan bazm mein parwane jag uTThe
hui jab shama raushan bazm mein parwane jag uTThe
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
huī jab sham.a raushan bazm meñ parvāne jaag uTThe
junūñ ne is tarah añgḌā.ī lī dīvāne jaag uTThe
ba-faiz-e-chashm-e-sāqī bazm meñ paimāne jaag uTThe
idhar gardish meñ jaam aa.e idhar maiḳhāne jaag uTThe
ye kis jān-e-bahārāñ ne ba-andāz-e-karam dekhā
muqaddar khul ga.e sahrāoñ ke vīrāne jaag uTThe
ḳhudā ma.alūm kyā tāsīr thī rindoñ kī aamad meñ
qadam rakkhā idhar aur us taraf maiḳhāne jaag uTThe
kisī ko to navā-e-dard sun kar jāgnā hī thā
agar apne nahīñ jaage to kyā begāne jaag uTThe
mo.azzin kī sadā-e-dil-nashīñ kā ye asar dekhā
haram vāloñ kī āñkheñ khul ga.iiñ but-ḳhāne jaag uTThe
ye kis ne zikr chheḌā us sarāpā-nāz kā 'jauhar'
ki husn-o-ishq ke so.e hue afsāne jaag uTThe
hui jab shama raushan bazm mein parwane jag uTThe
junun ne is tarah angDai li diwane jag uTThe
ba-faiz-e-chashm-e-saqi bazm mein paimane jag uTThe
idhar gardish mein jam aae idhar maiKHane jag uTThe
ye kis jaan-e-bahaaran ne ba-andaz-e-karam dekha
muqaddar khul gae sahraon ke virane jag uTThe
KHuda malum kya tasir thi rindon ki aamad mein
qadam rakkha idhar aur us taraf maiKHane jag uTThe
kisi ko to nawa-e-dard sun kar jagna hi tha
agar apne nahin jage to kya begane jag uTThe
moazzin ki sada-e-dil-nashin ka ye asar dekha
haram walon ki aankhen khul gain but-KHane jag uTThe
ye kis ne zikr chheDa us sarapa-naz ka 'jauhar'
ki husn-o-ishq ke soe hue afsane jag uTThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.