Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar

Shad Lakhnavi

hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    huī to dil meñ us sanam namāz meñ sar jhukā jhukā kar

    haram se but-ḳhāne tak to pahuñchā ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar

    lahad meñ kyā zikr raushnī sar-e-lahad bhī jo rahm khā kar

    jalā kiyā jab charāġh koī havā ne ThanDā kiyā bujhā kar

    nishān-e-barbād-gān-e-ālam jo pūchhe sahrā meñ ham ne kar

    sabā se uḌ uḌ ke gard baiThī bagūle uTThe havā meñ aa kar

    jo chashm-e-anjām-e-bīñ se dekhā bahār do din hai phir ḳhizāñ hai

    ma.āl-e-gulshan pe roī shabnam hañse gul-e-tar jo khil-khilā kar

    butoñ pur-āb añkhḌiyoñ meñ khulā ye dekhā jo putliyoñ ko

    ye vo haiñ hindū dharam jaman se phire jo gañgā chale nahā kar

    ḳhayāl-e-hajj-e-haram ko chhoḌā sunā jo shah-e-rag se hai qarīñ-tar

    tavāf-e-dil kiyā kiye ham ga.e na ka.abe ko pher khā kar

    zamīñ meñ ai 'shād' mar ga.e par falak dabā.e to kyā gila hai

    miyān-e-turbat hamāre pahlū hameñ dabāte haiñ murda kar

    hui to ja dil mein us sanam ki namaz mein sar jhuka jhuka kar

    haram se but-KHane tak to pahuncha KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar

    lahad mein kya zikr raushni ka sar-e-lahad bhi jo rahm kha kar

    jala kiya jab charagh koi hawa ne ThanDa kiya bujha kar

    nishan-e-barbaad-gan-e-alam jo puchhe sahra mein hum ne ja kar

    saba se uD uD ke gard baiThi bagule uTThe hawa mein aa kar

    jo chashm-e-anjam-e-bin se dekha bahaar do din hai phir KHizan hai

    maal-e-gulshan pe roi shabnam hanse gul-e-tar jo khil-khila kar

    buton ki pur-ab ankhDiyon mein khula ye dekha jo putliyon ko

    ye wo hain hindu dharam jaman se phire jo ganga chale naha kar

    KHayal-e-hajj-e-haram ko chhoDa suna jo shah-e-rag se hai qarin-tar

    tawaf-e-dil hi kiya kiye hum gae na kabe ko pher kha kar

    zamin mein ai 'shad' mar gae par falak dabae to kya gila hai

    miyan-e-turbat hamare pahlu hamein dabaate hain murda pa kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now