hujum-e-dard mila imtihan aisa tha
hujūm-e-dard milā imtihān aisā thā
magar vo chup hī rahā be-zabān aisā thā
kisī kī izzat-o-nāmūs par na aañch aa.ī
luTā to uf bhī na kī mehrbān aisā thā
zamāna guzrā magar daaġh rah gayā dil par
na miT sakā kisī sūrat nishān aisā thā
badan kī shāḳh se us ke kiran jo lipTī thī
vo sah sakā na use dhān-pān aisā thā
matā-e-zīst luTā dī ga.ī magar us ne
zarā bhī qadr na kī bad-gumān aisā thā
nazar-shanās thā kaisā ki umr bhar 'anjum'
bhulā sakā na use mehmān aisā thā
hujum-e-dard mila imtihan aisa tha
magar wo chup hi raha be-zaban aisa tha
kisi ki izzat-o-namus par na aanch aai
luTa to uf bhi na ki mehrban aisa tha
zamana guzra magar dagh rah gaya dil par
na miT saka kisi surat nishan aisa tha
badan ki shaKH se us ke kiran jo lipTi thi
wo sah saka na use dhan-pan aisa tha
mata-e-zist luTa di gai magar us ne
zara bhi qadr na ki bad-guman aisa tha
nazar-shanas tha kaisa ki umr bhar 'anjum'
bhula saka na use mehman aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.