hujum-e-gham-e-jawedan ho raha hai
hujūm-e-ġham-e-jāvedāñ ho rahā hai
mire sabr kā imtihāñ ho rahā hai
fasāna tire ishq kā kah rahā huuñ
zamāna mirā ham-zabāñ ho rahā hai
bas ik mere hī āshiyāñ kī ḳhalish se
jise dekhiye bāġhbāñ ho rahā hai
na Duube kahīñ ārzūoñ kī kashtī
mirā bahr-e-ġham phir ravāñ ho rahā hai
zarā bāġhbāñ ho gayā hai jo ġhāfil
har ik phuul ik āshiyāñ ho rahā hai
tirī raah meñ kārvāñ zindagī kā
ġhubār-e-pas-e-kārvāñ ho rahā hai
nasheman ke tinkoñ se phūTe haiñ ġhunche
mirā āshiyāñ gulsitāñ ho rahā hai
hujum-e-gham-e-jawedan ho raha hai
mere sabr ka imtihan ho raha hai
fasana tere ishq ka kah raha hun
zamana mera ham-zaban ho raha hai
bas ek mere hi aashiyan ki KHalish se
jise dekhiye baghban ho raha hai
na Dube kahin aarzuon ki kashti
mera bahr-e-gham phir rawan ho raha hai
zara baghban ho gaya hai jo ghafil
har ek phul ek aashiyan ho raha hai
teri rah mein karwan zindagi ka
ghubar-e-pas-e-karwan ho raha hai
nasheman ke tinkon se phuTe hain ghunche
mera aashiyan gulsitan ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.