hujum-e-gham ki wo saughat yaad aati hai
hujūm-e-ġham kī vo sauġhāt yaad aatī hai
lahū ke ashkoñ kī bārāt yaad aatī hai
laraztā dil hai judā.ī kī sā'atoñ se mirā
vo qahr-e-hijr kī barsāt yaad aatī hai
charāġh dil ke sabhī jhilmilāne lagte haiñ
shab-e-visāl kī har baat yaad aatī hai
mai-e-visāl se sarshār the kabhī ham bhī
nasha luTātī huī raat yaad aatī hai
vafā-shi'ār hai 'mohsin' use to har ik pal
'ināyatoñ kī vo har baat yaad aatī hai
hujum-e-gham ki wo saughat yaad aati hai
lahu ke ashkon ki baraat yaad aati hai
larazta dil hai judai ki sa'aton se mera
wo qahr-e-hijr ki barsat yaad aati hai
charagh dil ke sabhi jhilmilane lagte hain
shab-e-visal ki har baat yaad aati hai
mai-e-visal se sarshaar the kabhi hum bhi
nasha luTati hui raat yaad aati hai
wafa-shi'ar hai 'mohsin' use to har ek pal
'inayaton ki wo har baat yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.