hujum-e-gham mein agar muskura sako to chalo
hujūm-e-ġham meñ agar muskurā sako to chalo
ki zulmatoñ meñ kiran ban ke aa sako to chalo
jahāñ se sheva-e-bātil miTā sako to chalo
ye azm le ke mire saath aa sako to chalo
ik inqalāb ḳhayāloñ meñ lā sako to chalo
ki so rahā hai zamāna jagā sako to chalo
shu.ūr-e-fikr-o-nazar ko buland karnā hai
jo laġhzishoñ ko sahārā banā sako to chalo
uTheñge raah meñ dār-o-rasan ke hangāme
vafā-parastoñ kī himmat baḌhā sako to chalo
ba-rang-e-nāla jo dil meñ to hai zabāñ pe nahīñ
vahī tarāna sar-e-dār gā sako to chalo
hai 'zabt' 'aam hamārī ye dāvat-e-mashrūt
agar zamīr ko apne jagā sako to chalo
hujum-e-gham mein agar muskura sako to chalo
ki zulmaton mein kiran ban ke aa sako to chalo
jahan se shewa-e-baatil miTa sako to chalo
ye azm le ke mere sath aa sako to chalo
ek inqalab KHayalon mein la sako to chalo
ki so raha hai zamana jaga sako to chalo
shuur-e-fikr-o-nazar ko buland karna hai
jo laghzishon ko sahaara bana sako to chalo
uThenge rah mein dar-o-rasan ke hangame
wafa-paraston ki himmat baDha sako to chalo
ba-rang-e-nala jo dil mein to hai zaban pe nahin
wahi tarana sar-e-dar ga sako to chalo
hai 'zabt' 'am hamari ye dawat-e-mashrut
agar zamir ko apne jaga sako to chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.