hujum-e-gham mein bahar-haal muskurana hai
hujum-e-gham mein bahar-haal muskurana hai
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
hujūm-e-ġham meñ bahar-hāl muskurānā hai
havā ke ruḳh pe charāġh-e-yaqīñ jalānā hai
hai dil-ḳharāsh bahut yaad mere maazī kī
use harīm-e-ġhazal meñ mujhe sajānā hai
gunah ke ḳhauf se insān kaañp jaatā thā
ye vāqi.a to hai lekin bahut purānā hai
tamām shahr pe hākim kā jabr hai ġhālib
ye kyā ki naaz bhī us kā hameñ uThānā hai
jadīd daur meñ as.hāb-e-kahf ke mānind
qadīm daur kā sikka hameñ chalānā hai
jinheñ hai zo.am bahut apnī be-gunāhī par
unheñ bhī chal ke zarā ā.īna dikhānā hai
charāġh azm kā tum saath le chalo 'sāhil'
havā ke zor-e-musalsal ko āzmānā hai
hujum-e-gham mein bahar-haal muskurana hai
hawa ke ruKH pe charagh-e-yaqin jalana hai
hai dil-KHarash bahut yaad mere mazi ki
use harim-e-ghazal mein mujhe sajaana hai
gunah ke KHauf se insan kanp jata tha
ye waqia to hai lekin bahut purana hai
tamam shahr pe hakim ka jabr hai ghaalib
ye kya ki naz bhi us ka hamein uThana hai
jadid daur mein ashab-e-kahf ke manind
qadim daur ka sikka hamein chalana hai
jinhen hai zoam bahut apni be-gunahi par
unhen bhi chal ke zara aaina dikhana hai
charagh azm ka tum sath le chalo 'sahil'
hawa ke zor-e-musalsal ko aazmana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.