hujum-e-gham mein bhi hoti hai jab chubhan tanha
hujūm-e-ġham meñ bhī hotī hai jab chubhan tanhā
jabīn-e-shauq pe aatī hai phir shikan tanhā
bahār aate hī phir qissa-e-gul-o-bulbul
ḳhizāñ kā jaur uThātā rahā chaman tanhā
fasāne jur.at-o-himmat ke haiñ bahut lekin
jahān-e-'ishq meñ farhād kohkan tanhā
usī ke nuur se zulmat-kade munavvar haiñ
jo ban ke jaltā rahā sham'-e-anjuman tanhā
ḳhudā kī zaat to sab par hai mehrbāñ lekin
butoñ kā aaj bhī vāris hai barhaman tanhā
ḳhulūs-o-mehr-o-muravvat bahut zarūrī hai
badal na pā.egā zehnoñ ko husn-e-zan tanhā
har ek daur meñ rahtā hai hukmarāñ 'bismil'
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ fikr-o-fan tanhā
hujum-e-gham mein bhi hoti hai jab chubhan tanha
jabin-e-shauq pe aati hai phir shikan tanha
bahaar aate hi phir qissa-e-gul-o-bulbul
KHizan ka jaur uThata raha chaman tanha
fasane jurat-o-himmat ke hain bahut lekin
jahan-e-'ishq mein farhad kohkan tanha
usi ke nur se zulmat-kade munawwar hain
jo ban ke jalta raha sham'-e-anjuman tanha
KHuda ki zat to sab par hai mehrban lekin
buton ka aaj bhi waris hai barhaman tanha
KHulus-o-mehr-o-murawwat bahut zaruri hai
badal na paega zehnon ko husn-e-zan tanha
har ek daur mein rahta hai hukmaran 'bismil'
KHayal-o-KHwab ki duniya mein fikr-o-fan tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.