hujum-e-gham mein kis zinda-dili se
hujūm-e-ġham meñ kis zinda-dilī se
musalsal kheltā huuñ zindagī se
qarīb aate haiñ lekin be-ruḳhī se
purāne dost bhī haiñ ajnabī se
farishte dam-ba-ḳhud iblīs hairāñ
tavaqqo' ye kahāñ thī aadmī se
nizām-e-asr-e-nau ye kah rahā hai
añdhere phailte haiñ raushnī se
chale aa.e haram se mai-kade meñ
pareshāñ ho ga.e jab zindagī se
lagī hai aag jab se gulsitāñ meñ
bahut Darne lagā huuñ raushnī se
na ho jo tarjumān-e-vaqt 'razmī'
bhalā kyā fā.eda us shā'irī se
hujum-e-gham mein kis zinda-dili se
musalsal khelta hun zindagi se
qarib aate hain lekin be-ruKHi se
purane dost bhi hain ajnabi se
farishte dam-ba-KHud iblis hairan
tawaqqo' ye kahan thi aadmi se
nizam-e-asr-e-nau ye kah raha hai
andhere phailte hain raushni se
chale aae haram se mai-kade mein
pareshan ho gae jab zindagi se
lagi hai aag jab se gulsitan mein
bahut Darne laga hun raushni se
na ho jo tarjuman-e-waqt 'razmi'
bhala kya faeda us sha'iri se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.