hujum-e-gham se masarrat kashid karte hain
hujūm-e-ġham se masarrat kashīd karte haiñ
ki ham to zahr se amrit kashīd karte haiñ
unhoñ ne paal rakhe haiñ zamāne-bhar ke ġham
mire lahū se jo 'ishrat kashīd karte haiñ
hamārī fikr abhī qaid hai zavāhir meñ
ham apne kaam se shohrat kashīd karte haiñ
sadā.eñ ham ne sunī haiñ jo shahr meñ un se
ik ek lafz baġhāvat kashīd karte haiñ
maiñ un ko dekh ke hairat meñ ġharq huuñ 'āsī'
vo mere haal se 'ibrat kashīd karte haiñ
hujum-e-gham se masarrat kashid karte hain
ki hum to zahr se amrit kashid karte hain
unhon ne pal rakhe hain zamane-bhar ke gham
mere lahu se jo 'ishrat kashid karte hain
hamari fikr abhi qaid hai zawahir mein
hum apne kaam se shohrat kashid karte hain
sadaen hum ne suni hain jo shahr mein un se
ek ek lafz baghawat kashid karte hain
main un ko dekh ke hairat mein gharq hun 'asi'
wo mere haal se 'ibrat kashid karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.