Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hujum-e-shahr mein aae bahut the

Salim Saleem

hujum-e-shahr mein aae bahut the

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    hujūm-e-shahr meñ aa.e bahut the

    ki ham tanhā.ī ke maare bahut the

    'ajab kasrat meñ vahdat ho rahī thī

    ki chehra ek ā.īne bahut the

    zamāne ko magar tishna na rakkhā

    ham aise log jo pyāse bahut the

    abhī tak chīḳh vo niklī nahīñ kyā

    havelī meñ to darvāze bahut the

    maiñ tujh ko ḳhvāb meñ jab chhū rahā thā

    mire dālān meñ saa.e bahut the

    hujum-e-shahr mein aae bahut the

    ki hum tanhai ke mare bahut the

    'ajab kasrat mein wahdat ho rahi thi

    ki chehra ek aaine bahut the

    zamane ko magar tishna na rakkha

    hum aise log jo pyase bahut the

    abhi tak chiKH wo nikli nahin kya

    haweli mein to darwaze bahut the

    main tujh ko KHwab mein jab chhu raha tha

    mere dalan mein sae bahut the

    Source :
    • Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 41)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2017)
    • Edition : First
    • Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 28)
    • Author : Salim Saleem
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now