hujum-e-shauq-e-tamanna se tum kahan waqif
hujūm-e-shauq-e-tamannā se tum kahāñ vāqif
mire ḳhayāl kī duniyā se tum kahāñ vāqif
guzar rahī hai jo mujh par tumheñ ḳhabar kyā hai
mire mazāq-e-tamanna se tum kahāñ vāqif
tum ek paikar-e-nāz-o-adā sahī lekin
niyāz-o-ishq ke saudā se tum kahāñ vāqif
nigāh-e-shauq kā armān tum ko kyā ma.alūm
hamāre zauq-e-tamāshā se tum kahāñ vāqif
hamāre dāġh-e-mohabbat kī qadr kyā tum ko
charāġh-e-shām-e-tamannā se tum kahāñ vāqif
tumheñ ḳhabar nahīñ uftād kyā 'ziyā' par hai
fareb-ḳhurda-e-duniyā se tum kahāñ vāqif
hujum-e-shauq-e-tamanna se tum kahan waqif
mere KHayal ki duniya se tum kahan waqif
guzar rahi hai jo mujh par tumhein KHabar kya hai
mere mazaq-e-tamanna se tum kahan waqif
tum ek paikar-e-naz-o-ada sahi lekin
niyaz-o-ishq ke sauda se tum kahan waqif
nigah-e-shauq ka arman tum ko kya malum
hamare zauq-e-tamasha se tum kahan waqif
hamare dagh-e-mohabbat ki qadr kya tum ko
charagh-e-sham-e-tamanna se tum kahan waqif
tumhein KHabar nahin uftad kya 'ziya' par hai
fareb-KHurda-e-duniya se tum kahan waqif
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.