hujum-e-silsila-e-raftagan dikhai diya
hujūm-e-silsila-e-raftagāñ dikhā.ī diyā
zamīn par hī mujhe āsmāñ dikhā.ī diyā
maiñ aise shahr meñ kuchh din guzār aaya huuñ
har ek shaḳhs jahāñ be-zabāñ dikhā.ī diyā
nigār-ḳhāna-e-hairat meñ ek shab guzrī
phir us ke baad vo manzar kahāñ dikhā.ī diyā
samajh rahā thā jise apnā ham-safar vo bhī
harīs-e-mamlikat-e-jism-o-jāñ dikhā.ī diyā
faqat charāġh na the merī rahbarī ke liye
ik aa.ina bhī pas-e-kārvāñ dikhā.ī diyā
har ek shaḳhs dayār-e-suḳhan-faroshāñ meñ
naqīb-e-fitrat-e-bāzī-garāñ dikhā.ī diyā
kisī ne shahr ko sahrā banā diyā 'aḳhtar'
kisī ko dasht bhī ik sā.ebāñ dikhā.ī diyā
hujum-e-silsila-e-raftagan dikhai diya
zamin par hi mujhe aasman dikhai diya
main aise shahr mein kuchh din guzar aaya hun
har ek shaKHs jahan be-zaban dikhai diya
nigar-KHana-e-hairat mein ek shab guzri
phir us ke baad wo manzar kahan dikhai diya
samajh raha tha jise apna ham-safar wo bhi
haris-e-mamlikat-e-jism-o-jaan dikhai diya
faqat charagh na the meri rahbari ke liye
ek aaina bhi pas-e-karwan dikhai diya
har ek shaKHs dayar-e-suKHan-faroshan mein
naqib-e-fitrat-e-bazi-garan dikhai diya
kisi ne shahr ko sahra bana diya 'aKHtar'
kisi ko dasht bhi ek saeban dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.