hukm aaya hai ki fitne ko bhi fitna na kahun
hukm aayā hai ki fitne ko bhī fitna na kahūñ
jaisā dekhā hai sunā hai use vaisā na kahūñ
mere chup rahne se kyā baat sañvar jā.egī
log ḳhud bhī to samajhte haiñ kahūñ yā na kahūñ
husn ġhamze se chhuTā ishq farāmosh huā
aise hālāt meñ kyā sher bhī sachchā na kahūñ
ḳhud-kushī aur shahādat meñ hai ik farq-e-latīf
kaash jo kuchh mujhe kahnā hai vo tanhā na kahūñ
kis qadar zulm hai hālāt kā 'nūrī' sāhab
aap dhokā mujhe deñ aur maiñ dhokā na kahūñ
hukm aaya hai ki fitne ko bhi fitna na kahun
jaisa dekha hai suna hai use waisa na kahun
mere chup rahne se kya baat sanwar jaegi
log KHud bhi to samajhte hain kahun ya na kahun
husn ghamze se chhuTa ishq faramosh hua
aise haalat mein kya sher bhi sachcha na kahun
KHud-kushi aur shahadat mein hai ek farq-e-latif
kash jo kuchh mujhe kahna hai wo tanha na kahun
kis qadar zulm hai haalat ka 'nuri' sahab
aap dhoka mujhe den aur main dhoka na kahun
- Book : Meri Gazal (Pg. 19)
- Author : karar Noori
- Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.