hukm de qirtas par rangin nazara phunk dun
hukm de qirtās par rangīñ nazāra phūñk duuñ
misrā-e-tar meñ sunahrā isti.āra phūñk duuñ
ramz kī bāra-darī meñ zabt vājib gar na ho
maiñ tayaqqun se ta'ajjub kā mināra phūñk duuñ
mushtarī kā taaj pahne zuhl par asvār huuñ
gaah sayyāra jalā.ūñ gaah taarā phūñk duuñ
haañ isī dariyā tale ā.indagāñ kā shahr hai
ātishīñ lab se agar paanī kā dhārā phūñk duuñ
ek favvāre ke gesū ek chaubāre kī aañkh
chashm-e-nazzāra jalā kar har ishāra phūñk duuñ
qalb se uThtī huī shāḳh-e-tamavvuj hukm de
kyā tanaffus ke sharar se baaġh saarā phūñk duuñ
hukm de qirtas par rangin nazara phunk dun
misra-e-tar mein sunahra istiara phunk dun
ramz ki bara-dari mein zabt wajib gar na ho
main tayaqqun se ta'ajjub ka minara phunk dun
mushtari ka taj pahne zuhl par aswar hun
gah sayyara jalaun gah tara phunk dun
han isi dariya tale aaindagan ka shahr hai
aatishin lab se agar pani ka dhaara phunk dun
ek fawware ke gesu ek chaubare ki aankh
chashm-e-nazzara jala kar har ishaara phunk dun
qalb se uThti hui shaKH-e-tamawwuj hukm de
kya tanaffus ke sharar se bagh sara phunk dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.