hukm qudrat ne jab aalam-gari ka likkha
hukm qudrat ne jab ālām-garī kā likkhā
qismat-e-ishq meñ ġham be-asarī kā likkhā
āḳhirash chāk-e-garebāñ nazar aayā ḳhud bhī
haal jis ne bhī mirī jāma-darī kā likkhā
paḌhte hī nāma-e-pur-shauq mirā us ne kahā
ye to hai ālam-e-āshufta-sarī kā likkhā
varaq-e-dil pe mire ishq ne afsos ke saath
hādisa terī pashemāñ-nazarī kā likkhā
jis ne tārīḳh-e-gulistān-e-mohabbat likkhī
pahle qissa mirī be-bāl-o-parī kā likkhā
apnī qudrat kā jab iz.hār kiyā sān.e.a ne
raaz ā.īne pe ā.īna-garī kā likkhā
juz mire paḌh na sakā koī gulistāñ meñ 'jalīl'
varaq-e-gul pe nasīm-e-saharī kā likkhā
hukm qudrat ne jab aalam-gari ka likkha
qismat-e-ishq mein gham be-asari ka likkha
aaKHirash chaak-e-gareban nazar aaya KHud bhi
haal jis ne bhi meri jama-dari ka likkha
paDhte hi nama-e-pur-shauq mera us ne kaha
ye to hai aalam-e-ashufta-sari ka likkha
waraq-e-dil pe mere ishq ne afsos ke sath
hadisa teri pasheman-nazari ka likkha
jis ne tariKH-e-gulistan-e-mohabbat likkhi
pahle qissa meri be-baal-o-pari ka likkha
apni qudrat ka jab izhaar kiya sanea ne
raaz aaine pe aaina-gari ka likkha
juz mere paDh na saka koi gulistan mein 'jalil'
waraq-e-gul pe nasim-e-sahari ka likkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.