hukumat zehn-o-dil pe jab se qaem hai andheron ki
hukumat zehn-o-dil pe jab se qaem hai andheron ki
Nafees Ahmad Sahar
MORE BYNafees Ahmad Sahar
hukūmat zehn-o-dil pe jab se qaa.em hai añdheroñ kī
uḌāneñ bhuul baiThī haiñ na.ī nasleñ parindoñ kī
na talḳhī hī kabhī hogī na phir takrār lafzoñ kī
agar buniyād mustahkam rakhī jā.egī rishtoñ kī
musāfir ko faqat ehsās-e-ḳhush-fahmī dilātī haiñ
saḌak par bhāgtī parchhā.iyāñ aksar daraḳhtoñ kī
ye bāzār-e-siyāsat hai yahāñ har ek manDī meñ
tijārat aam hotī jā rahī hai khoTe sikkoñ kī
tumhīñ se pūchhnā hai aaj ham ko hazrat-e-vā.iz
uḌāoge kahāñ tak dhajjiyāñ āḳhir usūloñ kī
tirī chaukhaT pe le kar aa.e haiñ ashkoñ kā nazrāna
ḳhudāyā laaj rakh le ab to in maġhmūm bandoñ kī
'sahar' meñ kis tarah mānūñ mohazzab ho ga.ī duniyā
uchhālī jā rahī hai aaj bhī pagḌī ġharīboñ kī
hukumat zehn-o-dil pe jab se qaem hai andheron ki
uDanen bhul baiThi hain nai naslen parindon ki
na talKHi hi kabhi hogi na phir takrar lafzon ki
agar buniyaad mustahkam rakhi jaegi rishton ki
musafir ko faqat ehsas-e-KHush-fahmi dilati hain
saDak par bhagti parchhaiyan aksar daraKHton ki
ye bazar-e-siyasat hai yahan har ek manDi mein
tijarat aam hoti ja rahi hai khoTe sikkon ki
tumhin se puchhna hai aaj hum ko hazrat-e-waiz
uDaoge kahan tak dhajjiyan aaKHir usulon ki
teri chaukhaT pe le kar aae hain ashkon ka nazrana
KHudaya laj rakh le ab to in maghmum bandon ki
'sahar' mein kis tarah manun mohazzab ho gai duniya
uchhaali ja rahi hai aaj bhi pagDi gharibon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.