humakti konpalon ko KHushk ghas kar degi
humaktī koñpaloñ ko ḳhushk ghaas kar degī
havā daraḳhtoñ ko phir be-libās kar degī
shagufta phuul haiñ mahfūz rakkho mausam se
ye saḳht dhuup to phūloñ kā naas kar degī
sulagte chāñd sā maiñ tere saath saath rahā
safar kī shaam tujhe bhī udaas kar degī
isī sabab to maiñ dasht-e-balā meñ chup chup thā
ye āp-bītī tumheñ bad-havās kar degī
nazar meñ uḌtī rahī yuuñ hī gard-e-gumrāhī
to jism-o-jāñ ko baham nā-shanās kar degī
utar hī ā.ūñgā ik din ḳhalā ke maskan se
havā ko qaid ye miTTī kī baas kar degī
humakti konpalon ko KHushk ghas kar degi
hawa daraKHton ko phir be-libas kar degi
shagufta phul hain mahfuz rakkho mausam se
ye saKHt dhup to phulon ka nas kar degi
sulagte chand sa main tere sath sath raha
safar ki sham tujhe bhi udas kar degi
isi sabab to main dasht-e-bala mein chup chup tha
ye aap-biti tumhein bad-hawas kar degi
nazar mein uDti rahi yun hi gard-e-gumrahi
to jism-o-jaan ko baham na-shanas kar degi
utar hi aaunga ek din KHala ke maskan se
hawa ko qaid ye miTTi ki bas kar degi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.