hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi
hunar diyā bhī nahīñ le liyā añgūThā bhī
baḌe kamāl kī fankār hai ye duniyā bhī
hazār ālam-e-hairat karūñ nisār us par
nazar to aa.e koī chehra ā.īna sā bhī
maiñ apnī raah kī dīvār ḳhud banātā huuñ
mirā vajūd mujhe iiñT bhī hai gaarā bhī
bulā rahā huuñ sabhī ko ki mere saath aa.eñ
na aayā koī to maiñ chal paḌūñgā tanhā bhī
mirā zamīr mujhe ye yaqīñ dilātā hai
ki thā zavāl meñ thoḌā qusūr merā bhī
kisī kā saath koī umr bhar nahīñ detā
girāñ-bahā hai rifāqat kā ek lamha bhī
hunar diya bhi nahin le liya anguTha bhi
baDe kamal ki fankar hai ye duniya bhi
hazar aalam-e-hairat karun nisar us par
nazar to aae koi chehra aaina sa bhi
main apni rah ki diwar KHud banata hun
mera wajud mujhe inT bhi hai gara bhi
bula raha hun sabhi ko ki mere sath aaen
na aaya koi to main chal paDunga tanha bhi
mera zamir mujhe ye yaqin dilata hai
ki tha zawal mein thoDa qusur mera bhi
kisi ka sath koi umr bhar nahin deta
giran-baha hai rifaqat ka ek lamha bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.