hunar-e-ghaib ki tafsir bane baiThe hain
hunar-e-ġhaib kī tafsīr bane baiThe haiñ
sab yahāñ 'mīr' taqī 'mīr' bane baiThe haiñ
mere kamre kī ḳhamoshī kā gila vājib hai
aap tasvīr meñ tasvīr bane baiThe haiñ
apne uljhe hue bāloñ ko sañvāro jānāñ
ye mire paañv kī zanjīr bane baiThe haiñ
itnī ūñchī hai mire sar pe rakhī qīmat ki
gul-sifat log bhī shamshīr bane baiThe haiñ
dil ke gul-marg meñ girtī hai tirī yaad kī barf
ham tire hijr meñ kashmīr bane baiThe haiñ
hunar-e-ghaib ki tafsir bane baiThe hain
sab yahan 'mir' taqi 'mir' bane baiThe hain
mere kamre ki KHamoshi ka gila wajib hai
aap taswir mein taswir bane baiThe hain
apne uljhe hue baalon ko sanwaro jaanan
ye mere panw ki zanjir bane baiThe hain
itni unchi hai mere sar pe rakhi qimat ki
gul-sifat log bhi shamshir bane baiThe hain
dil ke gul-marg mein girti hai teri yaad ki barf
hum tere hijr mein kashmir bane baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.