hunar kahan hai ki main aur koi KHayal likhun
hunar kahāñ hai ki maiñ aur koī ḳhayāl likhūñ
sivā.e dard ke kyā hai jise kamāl likhūñ
phir ek aah ko dast-e-talab meñ paayā hai
maiñ apnā haal likhūñ yā ki sab kā haal likhūñ
'nabīl' merī madad kar ki tū to shā'ir hai
maiñ kis qalam se bhalā us kā vo jamāl likhūñ
hunar kahan hai ki main aur koi KHayal likhun
siwae dard ke kya hai jise kamal likhun
phir ek aah ko dast-e-talab mein paya hai
main apna haal likhun ya ki sab ka haal likhun
'nabil' meri madad kar ki tu to sha'ir hai
main kis qalam se bhala us ka wo jamal likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.