Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hunar se apne kisi ko wo dang kya karte

Bismil Arifi

hunar se apne kisi ko wo dang kya karte

Bismil Arifi

MORE BYBismil Arifi

    hunar se apne kisī ko vo dang kyā karte

    ġhurūb ho gayā sūraj to jang kyā karte

    hamāre haath se mausam phisal gayā varna

    tumhīñ kaho ki salātīn rang kyā karte

    ubhar rahā hai jo naqsha vo ḳhaufnāk sahī

    damak rahī thī havelī patang kyā karte

    dikhāyā haath to pahlū badal ke baiTh ga.e

    likhā thā dasht-navardī malang kyā karte

    yahī bahut hai tabāhī ke vāste apnī

    ab aur is se ziyāda tarang kyā karte

    hunar se apne kisi ko wo dang kya karte

    ghurub ho gaya suraj to jang kya karte

    hamare hath se mausam phisal gaya warna

    tumhin kaho ki salatin rang kya karte

    ubhar raha hai jo naqsha wo KHaufnak sahi

    damak rahi thi haweli patang kya karte

    dikhaya hath to pahlu badal ke baiTh gae

    likha tha dasht-nawardi malang kya karte

    yahi bahut hai tabahi ke waste apni

    ab aur is se ziyaada tarang kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now