hunar se jae kisi ke na fan se jata hai
hunar se jaa.e kisī ke na fan se jaatā hai
lahū kā daaġh kahīñ pairahan se jaatā hai
ba-sad adā nigah-e-sīm-tan se jaatā hai
jigar ke paar har ik tiir san se jaatā hai
numūd-e-teġh-e-badan mā'rke kā jauhar hai
dikhā ke piiTh kahīñ koī ran se jaatā hai
ragoñ meñ soz-e-ġham-e-‘ishq se lahū hai ravāñ
so vahshī aage nikal kar hiran se jaatā hai
mizha pe hotā hai raushan charāġh-e-tanhā.ī
asīr-e-zulf agar anjuman se jaatā hai
na koī tesha na sang-e-girāñ na jū-e-shīr
junūn-e-'ishq dil-e-kohkan se jaatā hai
hunar se jae kisi ke na fan se jata hai
lahu ka dagh kahin pairahan se jata hai
ba-sad ada nigah-e-sim-tan se jata hai
jigar ke par har ek tir san se jata hai
numud-e-tegh-e-badan ma'rke ka jauhar hai
dikha ke piTh kahin koi ran se jata hai
ragon mein soz-e-gham-e-‘ishq se lahu hai rawan
so wahshi aage nikal kar hiran se jata hai
mizha pe hota hai raushan charagh-e-tanhai
asir-e-zulf agar anjuman se jata hai
na koi tesha na sang-e-giran na ju-e-shir
junun-e-'ishq dil-e-kohkan se jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.