hunuz raat hai jalna paDega usko bhi
hunūz raat hai jalnā paḌegā us ko bhī
ki mere saath pighalnā paḌegā us ko bhī
durust hai ki vo mujh se gurez-pā hai magar
girūñgā maiñ to sambhalnā paḌegā us ko bhī
aTuuT dostī nisbat ta.alluqāt vafā
ye kaisī aag meñ jalnā paḌegā us ko bhī
kisī bhī tarah se is pyaar ko nibhānā hai
ab apnā aap badalnā paḌegā us ko bhī
mujhe kisī bhī safar pe na jaane degā kabhī
use ḳhabar hai ki chalnā paḌegā us ko bhī
hunuz raat hai jalna paDega us ko bhi
ki mere sath pighalna paDega us ko bhi
durust hai ki wo mujh se gurez-pa hai magar
girunga main to sambhalna paDega us ko bhi
aTuT dosti nisbat talluqat wafa
ye kaisi aag mein jalna paDega us ko bhi
kisi bhi tarah se is pyar ko nibhana hai
ab apna aap badalna paDega us ko bhi
mujhe kisi bhi safar pe na jaane dega kabhi
use KHabar hai ki chalna paDega us ko bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.