hurmat-e-zindagi nahin jati
hurmat-e-zindagī nahīñ jaatī
ḳhud-kushī ham se kī nahīñ jaatī
taḳhta-e-mashq ban rahe haiñ log
vaqt kī barhamī nahīñ jaatī
kyoñ na ham tark-e-mai-kashī karte
muñh lagī mai-kashī nahīñ jaatī
apnā ātish-kada hai aur maiñ huuñ
ġhair tak sho.alagī nahīñ jaatī
roz marte haiñ roz jiite haiñ
apnī shā.istagī nahīñ jaatī
kyā ajūba hai jaan jā kar bhī
aañkh kī raushnī nahīñ jaatī
jaane kis maslahat ke maare haiñ
lab-kushā.ī bhī kī nahīñ jaatī
har jatan ham ne kar ke dekh liyā
jiite jī tishnagī nahīñ jaatī
ḳhud ko 'hāmid' na sharmsār karo
āp-bītī kahī nahīñ jaatī
hurmat-e-zindagi nahin jati
KHud-kushi hum se ki nahin jati
taKHta-e-mashq ban rahe hain log
waqt ki barhami nahin jati
kyon na hum tark-e-mai-kashi karte
munh lagi mai-kashi nahin jati
apna aatish-kada hai aur main hun
ghair tak shoalagi nahin jati
roz marte hain roz jite hain
apni shaistagi nahin jati
kya ajuba hai jaan ja kar bhi
aankh ki raushni nahin jati
jaane kis maslahat ke mare hain
lab-kushai bhi ki nahin jati
har jatan hum ne kar ke dekh liya
jite ji tishnagi nahin jati
KHud ko 'hamid' na sharmsar karo
aap-biti kahi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.