husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo
husain hī thā jo pyāsā uThā furāt se vo
lahūluhān samundar thā apnī zaat se vo
fasīl-e-shab kī kamīñ-gāheñ us pe sab raushan
na jaane guzregā kab jā-e-vārdāt se vo
kiyā na tark-e-marāsim pe ehtijāj us ne
ki jaise guzre kisī manzil-e-najāt se vo
parinde lauT rahe haiñ khule baseroñ meñ
gayā hai ghar se bhī laḌ kar guzishta raat se vo
na jaane kyā haiñ ye dīmak-zada sī tahrīreñ
Darā Darā sā hai bosīda kāġhzāt se vo
husain hi tha jo pyasa uTha furaat se wo
lahuluhan samundar tha apni zat se wo
fasil-e-shab ki kamin-gahen us pe sab raushan
na jaane guzrega kab ja-e-wardat se wo
kiya na tark-e-marasim pe ehtijaj us ne
ki jaise guzre kisi manzil-e-najat se wo
parinde lauT rahe hain khule baseron mein
gaya hai ghar se bhi laD kar guzishta raat se wo
na jaane kya hain ye dimak-zada si tahriren
Dara Dara sa hai bosida kaghzat se wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.