husn aks-e-jamal-e-fitrat hai
husn aks-e-jamāl-e-fitrat hai
ishq sar-chashma-e-mohabbat hai
khul gayā ġhuncha-e-shabāb kahīñ
nik.hatoñ meñ nahā.ī ḳhalvat hai
mudda.ā hai larazte hoñToñ par
imtihān-e-vaqār-e-ġhurbat hai
apne ghar meñ bhī ham nahīñ mahfūz
koī tohmat nahīñ haqīqat hai
dekh kar ham ko barsar-e-paikār
gardish-e-vaqt mahv-e-hairat hai
merī ġhazloñ pe kījiye tanqīd
mujh ko is kī bahut zarūrat hai
ham haiñ urdu zabāñ ke ḳhud qātil
ai 'tarab' kyoñ kisī pe tohmat hai
husn aks-e-jamal-e-fitrat hai
ishq sar-chashma-e-mohabbat hai
khul gaya ghuncha-e-shabab kahin
nikhaton mein nahai KHalwat hai
muddaa hai larazte honTon par
imtihan-e-waqar-e-ghurbat hai
apne ghar mein bhi hum nahin mahfuz
koi tohmat nahin haqiqat hai
dekh kar hum ko barsar-e-paikar
gardish-e-waqt mahw-e-hairat hai
meri ghazlon pe kijiye tanqid
mujh ko is ki bahut zarurat hai
hum hain urdu zaban ke KHud qatil
ai 'tarab' kyon kisi pe tohmat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.