husn aur barsar-e-paikar KHuda KHair kare
husn aur barsar-e-paikār ḳhudā ḳhair kare
aap ke haath meñ talvār ḳhudā ḳhair kare
mujh ko Dar hai ki na ban jaa.e qayādat kā sabab
aap ke ishq kā iqrār kiyā hai ham ne
aap ke ishq kā iqrār kiyā hai ham ne
ham haiñ aur marhala-e-dār ḳhudā ḳhair kare
aa.e the ham tire dīdār kī hasrat le kar
ab haiñ kuchh aur hī āsār ḳhudā ḳhair kare
vo jo badnām rahe rāhzanī meñ barsoñ
haiñ vahī qāfila-sālār ḳhudā ḳhair kare
koī duniyā meñ nahīñ tere sivā ai 'shā.eq'
jins-e-ulfat kā ḳharīdār ḳhudā ḳhair kare
husn aur barsar-e-paikar KHuda KHair kare
aap ke hath mein talwar KHuda KHair kare
mujh ko Dar hai ki na ban jae qayaadat ka sabab
aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne
aap ke ishq ka iqrar kiya hai hum ne
hum hain aur marhala-e-dar KHuda KHair kare
aae the hum tere didar ki hasrat le kar
ab hain kuchh aur hi aasar KHuda KHair kare
wo jo badnam rahe rahzani mein barson
hain wahi qafila-salar KHuda KHair kare
koi duniya mein nahin tere siwa ai 'shaeq'
jins-e-ulfat ka KHaridar KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.