husn aur pyar tere pas main le aai hun
husn aur pyaar tire paas maiñ le aa.ī huuñ
ai mire yaar tire paas maiñ le aa.ī huuñ
apnī sīrat ke javāhar maiñ liye muTThī meñ
mere sardār tire paas maiñ le aa.ī huuñ
dil ye chāhe ki tirī qaid meñ rakh duuñ apnī
rūh-e-bezār tire paas maiñ le aa.ī huuñ
mere jazbāt-e-hasīñ dil meñ chhupā lo apne
phir se ik baar tire paas maiñ le aa.ī huuñ
jab ye dekhā ki mire bas meñ nahīñ hai 'vishma'
apnā kirdār tire paas maiñ le aa.ī huuñ
husn aur pyar tere pas main le aai hun
ai mere yar tere pas main le aai hun
apni sirat ke jawahar main liye muTThi mein
mere sardar tere pas main le aai hun
dil ye chahe ki teri qaid mein rakh dun apni
ruh-e-bezar tere pas main le aai hun
mere jazbaat-e-hasin dil mein chhupa lo apne
phir se ek bar tere pas main le aai hun
jab ye dekha ki mere bas mein nahin hai 'wishma'
apna kirdar tere pas main le aai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.