husn badnam hua ishq ke afsanon se
husn badnām huā ishq ke afsānoñ se
ek fitna hai jo uTThā ka.ī unvānoñ se
dil hai māmūr tirī yaad se armānoñ se
na rahā ghar mirā ḳhālī kabhī mehmānoñ se
dil shagufta na ho kyoñ aaj bayābānoñ se
ġham-e-gītī kī hai raunaq inhī vīrānoñ se
ḳhabar-e-fasl-e-bahārī ne qayāmat Dhā dī
shor-e-fariyād uThā kitne hī zindānoñ se
ham ne sīkhā nahīñ sāhil pe bharosa karnā
baḌh ke tūfān hue bhiḌ ga.e tūfānoñ se
kis tarah ālam-e-asbāb ko Thukrāte haiñ
pūchhiye jā ke kabhī be-sar-o-sāmānoñ se
jaan denā to gavārā hai magar ai shab-e-ġham
mujh ko allāh bachā.e tire ehsānoñ se
kashtī apnī kabhī sharminda-e-sāhil na huī
umr saarī ye ulajhte rahī tūfānoñ se
aise logoñ se rakhūñ ḳhaak tavaqqo maiñ 'qadīr'
kaam paḌtā hai to ho jaate haiñ an-jānoñ se
husn badnam hua ishq ke afsanon se
ek fitna hai jo uTTha kai unwanon se
dil hai mamur teri yaad se armanon se
na raha ghar mera KHali kabhi mehmanon se
dil shagufta na ho kyon aaj bayabanon se
gham-e-giti ki hai raunaq inhi viranon se
KHabar-e-fasl-e-bahaari ne qayamat Dha di
shor-e-fariyaad uTha kitne hi zindanon se
hum ne sikha nahin sahil pe bharosa karna
baDh ke tufan hue bhiD gae tufanon se
kis tarah aalam-e-asbab ko Thukraate hain
puchhiye ja ke kabhi be-sar-o-samanon se
jaan dena to gawara hai magar ai shab-e-gham
mujh ko allah bachae tere ehsanon se
kashti apni kabhi sharminda-e-sahil na hui
umr sari ye ulajhte rahi tufanon se
aise logon se rakhun KHak tawaqqo main 'qadir'
kaam paDta hai to ho jate hain an-jaanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.