husn bajae KHud parda hai is parde ko uThae kaun
husn bajā.e ḳhud parda hai is parde ko uThā.e kaun
dekh nahīñ saktī aañkh us ko badle apnī raa.e kaun
haath nashe kā āñkhoñ par hai ab ye haath haTā.e kaun
saaqī ke zaanū par sar hai hosh meñ aa.e to aa.e kaun
shahr-e-husn kā rahne vaalā laqab hai mujh pardesī kā
mere ishq ko ḳhuddārī ko apne paas biThā.e kaun
rāh-guzar kī garmī to bārish se kam ho jā.egī
siine meñ jo aag lagī hai is par qaabū paa.e kaun
ḳhaak meñ mil gayā ḳhuun hamārā us ne patthar maarā to
zaḳhm bhī us kā diyā huā dhan hai is dhan ko Thukrā.e kaun
aañkh se aañkh milāne se bhī jo katrā.e dost nahīñ
aate jaate in lamhoñ ko apne ghar Thahrā.e kaun
jism ko jalā kar 'vājid' apnā raushniyoñ meñ rahte haiñ
TuuTī phūTī dīvāroñ par rakkhe apne saa.e kaun
husn bajae KHud parda hai is parde ko uThae kaun
dekh nahin sakti aankh us ko badle apni rae kaun
hath nashe ka aankhon par hai ab ye hath haTae kaun
saqi ke zanu par sar hai hosh mein aae to aae kaun
shahr-e-husn ka rahne wala laqab hai mujh pardesi ka
mere ishq ko KHuddari ko apne pas biThae kaun
rah-guzar ki garmi to barish se kam ho jaegi
sine mein jo aag lagi hai is par qabu pae kaun
KHak mein mil gaya KHun hamara us ne patthar mara to
zaKHm bhi us ka diya hua dhan hai is dhan ko Thukrae kaun
aankh se aankh milane se bhi jo katrae dost nahin
aate jate in lamhon ko apne ghar Thahrae kaun
jism ko jala kar 'wajid' apna raushniyon mein rahte hain
TuTi phuTi diwaron par rakkhe apne sae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.