husn bhi hai panah mein ishq bhi hai panah mein
husn bhī hai panāh meñ ishq bhī hai panāh meñ
ik tirī nigāh meñ ik mirī nigāh meñ
khel nahīñ hañsī nahīñ haal merā sun na sun
dard hai do jahān kā ishq kī ek aah meñ
ḳhūgar-e-zulm-o-jaur ko shikva-e-iltifāt hai
qalb se uTh ke chhā ga.ī ġham kī ghaTā nigāh meñ
tā-ba-hadd-e-dīd hai ek sirāt-e-mustaqīm
hājat-e-rāhbar nahīñ ishq kī shāhrāh meñ
dast-e-karam baḌhā diyā us ne bilā lihāz-e-jurm
qābil-e-raham kuchh na thā varna mire gunāh meñ
kuchh mirī be-qarāriyāñ kuchh mirī nā-tavāniyāñ
kuchh tirī rahmatoñ kā hai haath mire gunāh meñ
lāla-o-gul kī mahfileñ apnī jagah pe kuchh na thī
jām-e-bahār ban ga.e khiñch ke mirī nigāh meñ
husn bhi hai panah mein ishq bhi hai panah mein
ek teri nigah mein ek meri nigah mein
khel nahin hansi nahin haal mera sun na sun
dard hai do jahan ka ishq ki ek aah mein
KHugar-e-zulm-o-jaur ko shikwa-e-iltifat hai
qalb se uTh ke chha gai gham ki ghaTa nigah mein
ta-ba-hadd-e-did hai ek siraat-e-mustaqim
hajat-e-rahbar nahin ishq ki shahrah mein
dast-e-karam baDha diya us ne bila lihaz-e-jurm
qabil-e-raham kuchh na tha warna mere gunah mein
kuchh meri be-qarariyan kuchh meri na-tawaniyan
kuchh teri rahmaton ka hai hath mere gunah mein
lala-o-gul ki mahfilen apni jagah pe kuchh na thi
jam-e-bahaar ban gae khinch ke meri nigah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.