husn-e-be-parwa ne jab chaha huwaida ho gaya
husn-e-be-parwa ne jab chaha huwaida ho gaya
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
husn-e-be-parvā ne jab chāhā huvaidā ho gayā
aur jab chāhā zamāne-bhar se pardā ho gayā
toḌne paḌte haiñ sab rishte pa.e irfān-e-fan
jo savād-e-shauq meñ aayā vo tanhā ho gayā
thī ye ḳhush-fahmī ki hai pāyāb dariyā fikr kā
is meñ utre the ki paanī sar se ūñchā ho gayā
pur-asar niklī karishma-sāzī husn-e-talab
kal talak jo ġhair thā vo aaj apnā ho gayā
dard-e-tanhā.ī se sote-jāgte kaaTī thī raat
sub.h ne marham rakhā aisā gavārā ho gayā
kyā kaheñ us ko ba-juz sar-gashta-e-fahm-o-ḳhirad
jis ko dīvāna kahā duniyā ne daanā ho gayā
nāla-e-shab-gīr thā be-kaif 'rāhī' is qadar
us ke sannāToñ se saarā shahr suunā ho gayā
husn-e-be-parwa ne jab chaha huwaida ho gaya
aur jab chaha zamane-bhar se parda ho gaya
toDne paDte hain sab rishte pae irfan-e-fan
jo sawad-e-shauq mein aaya wo tanha ho gaya
thi ye KHush-fahmi ki hai payab dariya fikr ka
is mein utre the ki pani sar se uncha ho gaya
pur-asar nikli karishma-sazi husn-e-talab
kal talak jo ghair tha wo aaj apna ho gaya
dard-e-tanhai se sote-jagte kaTi thi raat
subh ne marham rakha aisa gawara ho gaya
kya kahen us ko ba-juz sar-gashta-e-fahm-o-KHirad
jis ko diwana kaha duniya ne dana ho gaya
nala-e-shab-gir tha be-kaif 'rahi' is qadar
us ke sannaTon se sara shahr suna ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.