husn-e-fitrat se moattar tha kabhi
husn-e-fitrat se mo.attar thā kabhī
dil sahīfoñ se munavvar thā kabhī
ye hai mausam kī sharārat ab ke
varna har peḌ samar-var thā kabhī
khā ga.ī lahr koī tūfānī
ek chhoTā sā yahīñ ghar thā kabhī
jo nazar aatā hai gūñgā banjar
saut-o-ma.anī kā samundar thā kabhī
kirchī kirchī hai yaqīñ kā shīsha
jo mirī ziist kā mehvar thā kabhī
tishnagī bhar ga.ī sho.ale 'sājid'
zehn soyā huā ḳhanjar thā kabhī
husn-e-fitrat se moattar tha kabhi
dil sahifon se munawwar tha kabhi
ye hai mausam ki shararat ab ke
warna har peD samar-war tha kabhi
kha gai lahr koi tufani
ek chhoTa sa yahin ghar tha kabhi
jo nazar aata hai gunga banjar
saut-o-mani ka samundar tha kabhi
kirchi kirchi hai yaqin ka shisha
jo meri zist ka mehwar tha kabhi
tishnagi bhar gai shoale 'sajid'
zehn soya hua KHanjar tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.