husn-e-hijab-ashna jaanib-e-baam aa gaya
husn-e-hijāb-āshnā jānib-e-bām aa gayā
bāda-e-tah-nashīn-e-jām tā lab-e-jām aa gayā
aap ne pheñk dī naqāb garmi-e-ishq dekh kar
hashr-navāz husn aaj hashr ke kaam aa gayā
millat-e-kufr-o-dīñ kī bahas garm thī ḳhānqāh meñ
itne meñ koī mai piye dast-ba-jām aa gayā
shauq kā e'tibār kyā yaas ye iḳhtiyār kyā
rāh-e-ummīd-o-bīm meñ dil kā maqām aa gayā
dil mirā dekhtā rahā aur merī zabān par
lazzat-e-jān-e-ārzū aap kā naam aa gayā
dahr javān ho gayā khul gayā mai-kade kā dar
sāqī-e-mast mast-e-nāz mast-e-ḳhirām aa gayā
jalva-e-be-hijāb ko ḳhuub samajh rahā huuñ maiñ
mahshar-e-dīd muntazir manzar-e-ām aa gayā
'kaifī'-e-be-qarār sun ye rag-e-jāñ ke saaz se
hai mirī iltijā qubūl dil kā payām aa gayā
husn-e-hijab-ashna jaanib-e-baam aa gaya
baada-e-tah-nashin-e-jam ta lab-e-jam aa gaya
aap ne phenk di naqab garmi-e-ishq dekh kar
hashr-nawaz husn aaj hashr ke kaam aa gaya
millat-e-kufr-o-din ki bahas garm thi KHanqah mein
itne mein koi mai piye dast-ba-jam aa gaya
shauq ka e'tibar kya yas ye iKHtiyar kya
rah-e-ummid-o-bim mein dil ka maqam aa gaya
dil mera dekhta raha aur meri zaban par
lazzat-e-jaan-e-arzu aap ka nam aa gaya
dahr jawan ho gaya khul gaya mai-kade ka dar
saqi-e-mast mast-e-naz mast-e-KHiram aa gaya
jalwa-e-be-hijab ko KHub samajh raha hun main
mahshar-e-did muntazir manzar-e-am aa gaya
'kaifi'-e-be-qarar sun ye rag-e-jaan ke saz se
hai meri iltija qubul dil ka payam aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.