husn-e-imkan rang-e-ruKH rang-e-badan zad par raha
husn-e-imkāñ rang-e-ruḳh rang-e-badan zad par rahā
kyā batā.ūñ maiñ tujhe kyā kyā sajan zad par rahā
aql vāloñ par vahāñ khulte haiñ az-ḳhud rāste
jis galī meñ ik mirā dīvāna-pan zad par rahā
har suḳhan ko toltā huuñ boltā huuñ muñh se phir
jaane kyoñ phir bhī mirā zauq-e-suḳhan zad par rahā
ho rahī hai is tarah tajdīd har ik ḳhvāb kī
jo bachā thā aañkh meñ aks-e-kuhan zad par rahā
ishq par hone lagī haiñ tohmatoñ kī yūrisheñ
husn-e-be-parvā se chāk-e-pairahan zad par rahā
husn-e-imkan rang-e-ruKH rang-e-badan zad par raha
kya bataun main tujhe kya kya sajan zad par raha
aql walon par wahan khulte hain az-KHud raste
jis gali mein ek mera diwana-pan zad par raha
har suKHan ko tolta hun bolta hun munh se phir
jaane kyon phir bhi mera zauq-e-suKHan zad par raha
ho rahi hai is tarah tajdid har ek KHwab ki
jo bacha tha aankh mein aks-e-kuhan zad par raha
ishq par hone lagi hain tohmaton ki yurishen
husn-e-be-parwa se chaak-e-pairahan zad par raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.