husn-e-lachaar ki baaten karen kya
husn-e-lāchār kī bāteñ kareñ kyā
ishq-e-bīmār kī bāteñ kareñ kyā
sogvārī chaman-e-dil par hai
barg-e-ruḳhsār kī bāteñ kareñ kyā
nār-e-dozaḳh se Darāne vaalo
ham kisī naar kī bāteñ kareñ kyā
kaise hālāt se samjhauta kiyā
ab ye be-kār kī bāteñ kareñ kyā
sab makīnoñ se ta.āruf to huā
dar-o-dīvār kī bāteñ kareñ kyā
vaj.h-e-guftār jo maujūd nahīñ
lutf-e-takrār kī bāteñ kareñ kyā
ghar kī tahzīb hai malhūz-e-nazar
ghar meñ bāzār kī bāteñ kareñ kyā
raat bhīgī hai 'shafaq' aao ab
ḳhvāb-e-bedār kī bāteñ kareñ kyā
husn-e-lachaar ki baaten karen kya
ishq-e-bimar ki baaten karen kya
sogwari chaman-e-dil par hai
barg-e-ruKHsar ki baaten karen kya
nar-e-dozaKH se Darane walo
hum kisi nar ki baaten karen kya
kaise haalat se samjhauta kiya
ab ye be-kar ki baaten karen kya
sab makinon se taaruf to hua
dar-o-diwar ki baaten karen kya
wajh-e-guftar jo maujud nahin
lutf-e-takrar ki baaten karen kya
ghar ki tahzib hai malhuz-e-nazar
ghar mein bazar ki baaten karen kya
raat bhigi hai 'shafaq' aao ab
KHwab-e-bedar ki baaten karen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.